Allāh Muhabbat Hai
7 Azīzo, āeṅ ham ek dūsre se muhabbat rakheṅ. Kyoṅki muhabbat Allāh kī taraf se hai, aur jo muhabbat rakhtā hai wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai aur Allāh ko jāntā hai. 8 Jo muhabbat nahīṅ rakhtā wuh Allāh ko nahīṅ jāntā, kyoṅki Allāh muhabbat hai.
16 Aur ḳhud ham ne wuh muhabbat jān lī hai aur us par īmān lāe haiṅ jo Allāh ham se rakhtā hai. Allāh muhabbat hī hai. Jo bhī muhabbat meṅ qāym rahtā hai wuh Allāh meṅ rahtā hai aur Allāh us meṅ.
19 Ham is lie muhabbat rakhte haiṅ ki Allāh ne pahle ham se muhabbat rakhī. 20 Agar koī kahe, "Maiṅ Allāh se muhabbat rakhtā hūṅ" lekin apne bhāī se nafrat kare to wuh jhūṭā hai. Kyoṅki jo apne bhāī se jise us ne dekhā hai muhabbat nahīṅ rakhtā wuh kis tarah Allāh se muhabbat rakh saktā hai jise us ne nahīṅ dekhā? 21 Jo hukm Masīh ne hameṅ diyā hai wuh yih hai, jo Allāh se muhabbat rakhtā hai wuh apne bhāī se bhī muhabbat rakhe.