9 Is meṅ Allāh kī muhabbat hamāre darmiyān zāhir huī ki us ne apne iklaute Farzand ko duniyā meṅ bhej diyā tāki ham us ke zariye jieṅ. 10 Yihī muhabbat hai, yih nahīṅ ki ham ne Allāh se muhabbat kī balki yih ki us ne ham se muhabbat karke apne Farzand ko bhej diyā tāki wuh hamāre gunāhoṅ ko miṭāne ke lie kaffārā de.
19 Ham is lie muhabbat rakhte haiṅ ki Allāh ne pahle ham se muhabbat rakhī.