36 Shām ke waqt jab ġhallā kī nazar pesh kī jātī hai Iliyās ne qurbāngāh ke pās jā kar buland āwāz se duā kī, "Ai Rab, ai Ibrāhīm, Is’hāq aur Isrāīl ke Ḳhudā, āj logoṅ par zāhir kar ki Isrāīl meṅ tū hī Ḳhudā hai aur ki maiṅ terā ḳhādim hūṅ. Sābit kar ki maiṅ ne yih sab kuchh tere hukm ke mutābiq kiyā hai. 37 Ai Rab, merī duā sun! Merī sun tāki yih log jān leṅ ki tū, ai Rab, Ḳhudā hai aur ki tū hī un ke diloṅ ko dubārā apnī taraf māyl kar rahā hai."
38 Achānak āsmān se Rab kī āg nāzil huī. Āg ne na sirf qurbānī aur lakaṛī ko bhasm kar diyā balki qurbāngāh ke pattharoṅ aur us ke nīche kī miṭṭī ko bhī. Gaṛhe meṅ pānī bhī ek dam sūkh gayā.
39 Yih dekh kar Isrāīlī aundhe muṅh gir kar pukārne lage, "Rab hī Ḳhudā hai! Rab hī Ḳhudā hai!"