4 āge registān meṅ jā niklā. Ek din ke safr ke bād wuh sīṅk kī jhāṛī ke pās pahuṅch gayā aur us ke sāye meṅ baiṭh kar duā karne lagā, "Ai Rab, mujhe marne de. Bas ab kāfī hai. Merī jān le le, kyoṅki maiṅ apne bāpdādā se behtar nahīṅ hūṅ." 5 Phir wuh jhāṛī ke sāye meṅ leṭ kar so gayā.
Achānak ek farishte ne use chhū kar kahā, "Uṭh, khānā khā le!" 6 Jab us ne apnī āṅkheṅ kholīṅ to dekhā ki sirhāne ke qarīb koeloṅ par banāī gaī roṭī aur pānī kī surāhī paṛī hai. Us ne roṭī khāī, pānī piyā aur dubārā so gayā. 7 Lekin Rab kā farishtā ek bār phir āyā aur use hāth lagā kar kahā, "Uṭh, khānā khā le, warnā āge kā lambā safr tere bas kī bāt nahīṅ hogī."
8 Tab Iliyās ne uṭh kar dubārā khānā khāyā aur pānī piyā. Is ḳhurāk ne use itnī taqwiyat dī ki wuh chālīs din aur chālīs rāt safr karte karte Allāh ke pahāṛ Horib yānī Sīnā tak pahuṅch gayā. 9 Wahāṅ wuh rāt guzārne ke lie ek ġhār meṅ chalā gayā.
Rab Iliyās kī Hauslā-afzāī Kartā Hai
ġhār meṅ Rab us se hamkalām huā. Us ne pūchhā, "Iliyās, tū yahāṅ kyā kar rahā hai?"