11 Elī ke do beṭe Hufnī aur Fīnhās bhī usī din halāk hue, aur Allāh ke ahd kā sandūq Filistiyoṅ ke qabze meṅ ā gayā.
17 Qāsid ne jawāb diyā, "Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmne farār hue. Fauj ko har taraf shikast mānanī paṛī, aur āp ke donoṅ beṭe Hufnī aur Fīnhās bhī māre gae haiṅ. Afsos, Allāh kā sandūq bhī dushman ke qabze meṅ ā gayā hai."
21,22 Kyoṅki wuh Allāh ke sandūq ke chhin jāne aur susar aur shauhar kī maut ke bāis nihāyat bedil ho gaī thī. Us ne kahā, "Beṭe kā nām Yakabod yānī ‘Jalāl Kahāṅ Rahā’ hai, kyoṅki Allāh ke sandūq ke chhin jāne se Allāh kā jalāl Isrāīl se jātā rahā hai."