Jhūṭe Ustād
1 Rūhul-quds sāf farmātā hai ki āḳhirī dinoṅ meṅ kuchh īmān se haṭ kar farebdeh rūhoṅ aur shaitānī tālīmāt kī pairawī kareṅge. 2 Aisī tālīmāt jhūṭ bolne wāloṅ kī riyākār bātoṅ se ātī haiṅ, jin ke zamīr par Iblīs ne apnā nishān lagā kar zāhir kar diyā hai ki yih us ke apne haiṅ.