Masīh meṅ Fatah
14 Lekin Ḳhudā kā shukr hai! Wuhī hamāre āge āge chaltā hai aur ham Masīh ke qaidī ban kar us kī fatah manāte hue us ke pīchhe pīchhe chalte haiṅ. Yoṅ Allāh hamāre wasīle se har jagah Masīh ke bāre meṅ ilm ḳhushbū kī tarah phailātā hai. 15 Kyoṅki ham Masīh kī ḳhushbū haiṅ jo Allāh tak pahuṅchtī hai aur sāth sāth logoṅ meṅ bhī phailtī hai, najāt pāne wāloṅ meṅ bhī aur halāk hone wāloṅ meṅ bhī. 16 Bāz logoṅ ke lie ham maut kī mohlak bū haiṅ jabki bāz ke lie ham zindagībaḳhsh ḳhushbū haiṅ. To kaun yih zimmedārī nibhāne ke lāyq hai? 17 Kyoṅki ham aksar logoṅ kī tarah Allāh ke kalām kī tijārat nahīṅ karte, balki yih jān kar ki ham Allāh ke huzūr meṅ haiṅ aur us ke bheje hue haiṅ ham ḳhulūsdilī se logoṅ se bāt karte haiṅ.