3 Yih sun kar Yahūsafat ghabrā gayā. Us ne Rab se rāhnumāī māṅgne kā faislā karke elān kiyā ki tamām Yahūdāh rozā rakhe. 4 Yahūdāh ke tamām shahroṅ se log Yarūshalam āe tāki mil kar madad ke lie Rab se duā māṅgeṅ.
15 Us ne kahā, "Yahūdāh aur Yarūshalam ke logo, merī bāt suneṅ! Ai bādshāh, āp bhī is par dhyān deṅ. Rab farmātā hai ki ḍaro mat, aur is baṛī fauj ko dekh kar mat ghabrānā. Kyoṅki yih jang tumhārā nahīṅ balki merā muāmalā hai. 17 Lekin tumheṅ laṛne kī zarūrat nahīṅ hogī. Bas dushman ke āmne-sāmne khaṛe ho kar ruk jāo aur dekho ki Rab kis tarah tumheṅ chhuṭkārā degā. Lihāzā mat ḍaro, ai Yahūdāh aur Yarūshalam, aur dahshat mat khāo. Kal un kā sāmnā karne ke lie niklo, kyoṅki Rab tumhāre sāth hogā."
22 Us waqt Rab hamlā-āwar fauj ke muḳhālifoṅ ko khaṛā kar chukā thā. Ab jab Yahūdāh ke mard hamd ke gīt gāne lage to wuh tāk meṅ se nikal kar baṛhtī huī fauj par ṭūṭ paṛe aur use shikast dī.