18Chunāṅche ai qaumo, suno! Ai jamāt, jān le ki un ke sāth kyā kuchh kiyā jāegā.
19Ai zamīn, dhyān de ki maiṅ is qaum par kyā āfat nāzil karūṅga. Aur yih un ke apne mansūboṅ kā phal hogā, kyoṅki unhoṅ ne merī bātoṅ par tawajjuh na dī balki merī sharīat ko radd kar diyā.
28Ai Rab, yih tamām log badtarīn qism ke sarkash haiṅ. Tohmat lagānā in kī rozī ban gayā hai. Yih pītal aur lohā hī haiṅ, sab ke sab tabāhī kā bāis haiṅ.