Jādūgarī Manā Hai
9 Jab tū us mulk meṅ dāḳhil hogā jo Rab terā Ḳhudā tujhe de rahā hai to wahāṅ kī rahne wālī qaumoṅ ke ghinaune dastūr na apnānā. 10 Tere darmiyān koī bhī apne beṭe yā beṭī ko qurbānī ke taur par na jalāe. Na koī ġhaibdānī kare, na fāl yā shugūn nikāle yā jādūgarī kare. 11 Isī tarah mantar paṛhnā, hāzirāt karnā, qismat kā hāl batānā yā murdoṅ kī rūhoṅ se rābitā karnā saḳht manā hai. 12 Jo bhī aisā kare wuh Rab kī nazar meṅ qābil-e-ghin hai. Inhīṅ makrūh dastūroṅ kī wajah se Rab terā Ḳhudā tere āge se un qaumoṅ ko nikāl degā.