11 Ḳhabardār, Rab apne Ḳhudā ko na bhūl aur us ke un ahkām par amal karne se gurez na kar jo maiṅ āj tujhe de rahā hūṅ. 12 Kyoṅki jab tū kasrat kā khānā khā kar ser ho jāegā, tū shāndār ghar banā kar un meṅ rahegā 13 aur tere rewaṛ, sone-chāṅdī aur bāqī tamām māl meṅ izāfā hogā 14 to kahīṅ tū maġhrūr ho kar Rab apne Ḳhudā ko bhūl na jāe jo tujhe Misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā.
17 Jab tujhe kāmyābī hāsil hogī to yih na kahnā ki maiṅ ne apnī hī quwwat aur tāqat se yih sab kuchh hāsil kiyā hai. 18 Balki Rab apne Ḳhudā ko yād karnā jis ne tujhe daulat hāsil karne kī qābiliyat dī hai. Kyoṅki wuh āj bhī usī ahd par qāym hai jo us ne tere bāpdādā se kiyā thā.