14 Agar āp is waqt ḳhāmosh raheṅgī to Yahūdī kahīṅ aur se rihāī aur chhuṭkārā pā leṅge jabki āp aur āp ke bāp kā gharānā halāk ho jāeṅge. Kyā patā hai, shāyad āp isī lie malikā ban gaī haiṅ ki aise mauqe par Yahūdiyoṅ kī madad kareṅ."
15 Āstar ne Mardakī ko jawāb bhejā, 16 "Ṭhīk hai, phir jāeṅ aur Sosan meṅ rahne wāle tamām Yahūdiyoṅ ko jamā kareṅ. Mere lie rozā rakh kar tīn din aur tīn rāt na kuchh khāeṅ, na pieṅ. Maiṅ bhī apnī naukarāniyoṅ ke sāth mil kar rozā rakhūṅgī. Is ke bād bādshāh ke pās jāūṅgī, go yih qānūn ke ḳhilāf hai. Agar marnā hai to mar hī jāūṅgī."