Har Ek ko Mālūm Ho Jāe Ki Masīh Kaun Hai
12 Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki yih bāt āp ke ilm meṅ ho ki jo kuchh bhī mujh par guzarā hai wuh haqīqat meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke phailāo kā bāis ban gayā hai. 13 Kyoṅki Praiṭoriyum Gawarnar kā sarkārī mahal Praiṭoriyum kahlātā thā. Yahāṅ is kā matlab shāhnshāh ke pahredāroṅ ke kwārṭar bhī ho saktā hai. ke tamām afrād aur bāqī sab ko mālūm ho gayā hai ki maiṅ Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ. 14 Aur mere qaid meṅ hone kī wajah se Ḳhudāwand meṅ zyādātar bhāiyoṅ kā etamād itnā baṛh gayā hai ki wuh mazīd dilerī ke sāth bilāḳhauf Allāh kā kalām sunāte haiṅ.
20 Hāṅ, yih merī pūrī tawaqqo aur ummīd hai. Maiṅ yih bhī jāntā hūṅ ki mujhe kisī bhī bāt meṅ sharmindā nahīṅ kiyā jāegā balki jaisā māzī meṅ hameshā huā ab bhī mujhe baṛī dilerī se Masīh ko jalāl dene kā fazl milegā, ḳhāh maiṅ zindā rahūṅ yā mar jāūṅ. 21 Kyoṅki mere lie Masīh zindagī hai aur maut nafā kā bāis.