4 Har waqt Ḳhudāwand meṅ ḳhushī manāeṅ. Ek bār phir kahtā hūṅ, ḳhushī manāeṅ.
5 Āp kī narmdilī tamām logoṅ par zāhir ho. Yād rakheṅ ki Ḳhudāwand āne ko hai. 6 Apnī kisī bhī fikr meṅ ulajh kar pareshān na ho jāeṅ balki har hālat meṅ duā aur iltijā karke apnī darḳhāsteṅ Allāh ke sāmne pesh kareṅ. Dhyān rakheṅ ki āp yih shukrguzārī kī rūh meṅ kareṅ. 7 Phir Allāh kī salāmatī jo samajh se bāhar hai āp ke diloṅ aur ḳhayālāt ko Masīh Īsā meṅ mahfūz rakhegī.