3 Chaukīdār us ke lie darwāzā khol detā hai aur bheṛeṅ us kī āwāz suntī haiṅ. Wuh apnī har ek bheṛ kā nām le kar unheṅ bulātā aur bāhar le jātā hai. 4 Apne pūre galle ko bāhar nikālne ke bād wuh un ke āge āge chalne lagtā hai aur bheṛeṅ us ke pīchhe pīchhe chal paṛtī haiṅ, kyoṅki wuh us kī āwāz pahchāntī haiṅ. 5 Lekin wuh kisī ajnabī ke pīchhe nahīṅ chaleṅgī balki us se bhāg jāeṅgī, kyoṅki wuh us kī āwāz nahīṅ pahchāntīṅ."
14 Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Maiṅ apnī bheṛoṅ ko jāntā hūṅ aur wuh mujhe jāntī haiṅ,
27 Merī bheṛeṅ merī āwāz suntī haiṅ. Maiṅ unheṅ jāntā hūṅ aur wuh mere pīchhe chaltī haiṅ.