9 Maiṅ un ke lie duā kartā hūṅ, duniyā ke lie nahīṅ balki un ke lie jinheṅ tū ne mujhe diyā hai, kyoṅki wuh tere hī haiṅ. 11 Ab se maiṅ duniyā meṅ nahīṅ hūṅgā. Lekin yih duniyā meṅ rah gae haiṅ jabki maiṅ tere pās ā rahā hūṅ. Quddūs Bāp, apne nām meṅ unheṅ mahfūz rakh, us nām meṅ jo tū ne mujhe diyā hai, tāki wuh ek hoṅ jaise ham ek haiṅ. 15 Merī duā yih nahīṅ hai ki tū unheṅ duniyā se uṭhā le balki yih ki unheṅ Iblīs se mahfūz rakhe.
20 Merī duā na sirf inhīṅ ke lie hai, balki un sab ke lie bhī jo in kā paiġhām sun kar mujh par īmān lāeṅge