Īsā Mariyam aur Marthā ke Ghar Jātā Hai
38 Phir Īsā shāgirdoṅ ke sāth āge niklā. Chalte chalte wuh ek gāṅw meṅ pahuṅchā. Wahāṅ kī ek aurat banām Marthā ne use apne ghar meṅ ḳhushāmdīd kahā. 39 Marthā kī ek bahan thī jis kā nām Mariyam thā. Wuh Ḳhudāwand ke pāṅwoṅ meṅ baiṭh kar us kī bāteṅ sunane lagī 40 jabki Marthā mehmānoṅ kī ḳhidmat karte karte thak gaī. Āḳhirkār wuh Īsā ke pās ā kar kahne lagī, "Ḳhudāwand, kyā āp ko parwā nahīṅ ki merī bahan ne mehmānoṅ kī ḳhidmat kā pūrā intazām mujh par chhoṛ diyā hai? Us se kaheṅ ki wuh merī madad kare."
41 Lekin Ḳhudāwand Īsā ne jawāb meṅ kahā, "Marthā, Marthā, tū bahut-sī fikroṅ aur pareshāniyoṅ meṅ paṛ gaī hai. 42 Lekin ek bāt zarūrī hai. Mariyam ne behtar hissā chun liyā hai aur yih us se chhīnā nahīṅ jāegā."