5 Jab ḳhaime ko safr ke lie sameṭnā hai to Hārūn aur us ke beṭe dāḳhil ho kar Muqaddastarīn Kamre kā pardā utāreṅ aur use sharīat ke sandūq par ḍāl deṅ.
15 Safr ke lie rawānā hote waqt yih sab kuchh uṭhā kar le jānā Qihātiyoṅ kī zimmedārī hai. Lekin lāzim hai ki pahle Hārūn aur us ke beṭe yih tamām muqaddas chīzeṅ ḍhāṅpeṅ. Qihātī in meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ warnā mar jāeṅge.
24 Wuh yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ:
31 Wuh mulāqāt ke ḳhaime kī yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ: dīwār ke taḳhte, shahtīr, khambe aur pāe,