4 Go tarah tarah kī nemateṅ hotī haiṅ, lekin Rūh ek hī hai. 7 Ham meṅ se har ek meṅ Rūhul-quds kā izhār kisī nemat se hotā hai. Yih nemateṅ is lie dī jātī haiṅ tāki ham ek dūsre kī madad kareṅ.
Ek Jism aur Muḳhtalif Āzā
12 Insānī jism ke bahut-se āzā hote haiṅ, lekin yih tamām āzā ek hī badan ko tashkīl dete haiṅ. Masīh kā badan bhī aisā hai.
22 Balki agar dekhā jāe to aksar aisā hotā hai ki jism ke jo āzā zyādā kamzor lagte haiṅ un kī zyādā zarūrat hotī hai.