4 Go tarah tarah kī nemateṅ hotī haiṅ, lekin Rūh ek hī hai. 5 Tarah tarah kī ḳhidmateṅ hotī haiṅ, lekin Ḳhudāwand ek hī hai. 6 Allāh apnī qudrat kā izhār muḳhtalif andāz se kartā hai, lekin Ḳhudā ek hī hai jo sab meṅ har tarah kā kām kartā hai. 7 Ham meṅ se har ek meṅ Rūhul-quds kā izhār kisī nemat se hotā hai. Yih nemateṅ is lie dī jātī haiṅ tāki ham ek dūsre kī madad kareṅ.
22 Balki agar dekhā jāe to aksar aisā hotā hai ki jism ke jo āzā zyādā kamzor lagte haiṅ un kī zyādā zarūrat hotī hai.