Jism Allāh kā Ghar Hai
12 Mere lie sab kuchh jāyz hai, lekin sab kuchh mufīd nahīṅ. Mere lie sab kuchh jāyz to hai, lekin maiṅ kisī bhī chīz ko ijāzat nahīṅ dūṅgā ki mujh par hukūmat kare. 13 Beshak ḳhurāk peṭ ke lie aur peṭ ḳhurāk ke lie hai, magar Allāh donoṅ ko nest kar degā. Lekin ham is se yih natījā nahīṅ nikāl sakte ki jism zinākārī ke lie hai. Hargiz nahīṅ! Jism Ḳhudāwand ke lie hai aur Ḳhudāwand jism ke lie.