Izdiwājī Zindagī
1 Ab maiṅ āp ke sawālāt kā jawāb detā hūṅ. Beshak achchhā hai ki mard shādī na kare. 2 Lekin zinākārī se bachne kī ḳhātir har mard kī apnī bīwī aur har aurat kā apnā shauhar ho. 5 Chunāṅche ek dūsre se judā na hoṅ siwāe is ke ki āp donoṅ bāhamī razāmandī se ek waqt muqarrar kar leṅ tāki duā ke lie zyādā fursat mil sake. Lekin is ke bād āp dubārā ikaṭṭhe ho jāeṅ tāki Iblīs āp ke bezabt nafs se fāydā uṭhā kar āp ko āzmāish meṅ na ḍāle.