Haqīqī aur Jhūṭī Rūh
1 Azīzo, har ek rūh kā yaqīn mat karnā balki rūhoṅ ko parakh kar mālūm kareṅ ki wuh Allāh se haiṅ yā nahīṅ, kyoṅki muta’addid jhūṭe nabī duniyā meṅ nikle haiṅ. 2 Is se āp Allāh ke Rūh ko pahchān lete haiṅ: Jo bhī rūh is kā etarāf kartī hai ki Īsā Masīh mujassam ho kar āyā hai wuh Allāh se hai. 3 Lekin jo bhī rūh Īsā ke bāre meṅ yih taslīm na kare wuh Allāh se nahīṅ hai. Yih muḳhālif-e-Masīh kī rūh hai jis ke bāre meṅ āp ko ḳhabar milī ki wuh āne wālā hai balki is waqt duniyā meṅ ā chukā hai.
4 Lekin āp pyāre bachcho, Allāh se haiṅ aur un par ġhālib ā gae haiṅ. Kyoṅki jo āp meṅ hai wuh us se baṛā hai jo duniyā meṅ hai.