6 Chunāṅche Allāh ke qādir hāth ke nīche jhuk jāeṅ tāki wuh mauzūṅ waqt par āp ko sarfarāz kare. 7 Apnī tamām pareshāniyāṅ us par ḍāl deṅ, kyoṅki wuh āp kī fikr kartā hai.
8 Hoshmand raheṅ, jāgte raheṅ. Āp kā dushman Iblīs garajte hue sherbabar kī tarah ghūmtā-phirtā aur kisī ko haṛap kar lene kī talāsh meṅ rahtā hai. 9 Īmān meṅ mazbūt rah kar us kā muqābalā kareṅ. Āp ko to mālūm hai ki pūrī duniyā meṅ āp ke bhāī isī qism kā dukh uṭhā rahe haiṅ. 10 Lekin āp ko zyādā der ke lie dukh uṭhānā nahīṅ paṛegā. Kyoṅki har tarah ke fazl kā Ḳhudā jis ne āp ko Masīh meṅ apne abadī jalāl meṅ sharīk hone ke lie bulāyā hai wuh ḳhud āp ko kāmiliyat tak pahuṅchāegā, mazbūt banāegā, taqwiyat degā aur ek ṭhos buniyād par khaṛā karegā.