10 Hannā shadīd pareshānī ke ālam meṅ phūṭ phūṭ kar rone lagī. Rab se duā karte karte 11 us ne qasam khāī, "Ai Rabbul-afwāj, merī burī hālat par nazar ḍāl kar mujhe yād kar! Apnī ḳhādimā ko mat bhūlnā balki beṭā atā farmā! Agar tū aisā kare to maiṅ use tujhe wāpas kar dūṅgī. Ai Rab, us kī pūrī zindagī tere lie maḳhsūs hogī! Is kā nishān yih hogā ki us ke bāl kabhī nahīṅ kaṭwāe jāeṅge."
15 Hannā ne jawāb diyā, "Mere āqā, aisī koī bāt nahīṅ hai. Maiṅ ne na mai, na koī aur nashā-āwar chīz chakhī hai. Bāt yih hai ki maiṅ baṛī ranjīdā hūṅ, is lie Rab ke huzūr apne dil kī āh-o-zārī unḍel dī hai. Lafzī tarjumā: apnī jān unḍel dī hai.
17 Yih sun kar Elī ne jawāb diyā, "Salāmatī se apne ghar chalī jā! Isrāīl kā Ḳhudā terī darḳhāst pūrī kare."
20 Ilqānā aur Hannā ke beṭā paidā huā. Hannā ne us kā nām Samuel yānī ‘Us kā Nām Allāh Hai’ rakhā, kyoṅki us ne kahā, "Maiṅ ne use Rab se māṅgā."