Hannā kā Gīt
1 Wahāṅ Hannā ne yih gīt gāyā,
"Merā dil Rab kī ḳhushī manātā hai, kyoṅki us ne mujhe quwwat atā kī hai. Merā muṅh dilerī se apne dushmanoṅ ke ḳhilāf bāt kartā hai, kyoṅki maiṅ terī najāt ke bāis bāġh bāġh hūṅ.
2 Rab jaisā quddūs koī nahīṅ hai, tere siwā koī nahīṅ hai. Hamāre Ḳhudā jaisī koī chaṭṭān nahīṅ hai.