22 Hujūm bhī ā milā aur Paulus aur Sīlās ke ḳhilāf bāteṅ karne lagā.
Is par majisṭreṭoṅ ne hukm diyā ki un ke kapṛe utāre aur unheṅ lāṭhī se mārā jāe. 23 Unhoṅ ne un kī ḳhūb piṭāī karwā kar unheṅ qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā aur dāroġhe se kahā ki ehtiyāt se un kī pahrādārī karo. 24 Chunāṅche us ne unheṅ jel ke sab se andarūnī hisse meṅ le jā kar un ke pāṅw kāṭh meṅ ḍāl die.