Farmāṅbardārī kī Barkateṅ
1 Rab terā Ḳhudā tujhe duniyā kī tamām qaumoṅ par sarfarāz karegā. Shart yih hai ki tū us kī sune aur ehtiyāt se us ke un tamām ahkām par amal kare jo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. 2 Rab apne Ḳhudā kā farmāṅbardār rah to tujhe har tarah kī barkat hāsil hogī.
12 Rab āsmān ke ḳhazānoṅ ko khol kar waqt par terī zamīn par bārish barsāegā. Wuh tere har kām meṅ barkat degā. Tū bahut-sī qaumoṅ ko udhār degā lekin kisī kā bhī qarzdār nahīṅ hogā.