Badan kī Yagāngat
1 Chunāṅche maiṅ jo Ḳhudāwand meṅ qaidī hūṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki us zindagī ke mutābiq chaleṅ jis ke lie Ḳhudā ne āp ko bulāyā hai. 2 Har waqt halīm aur narmdil raheṅ, sabar se kām leṅ aur ek dūsre se muhabbat rakh kar use bardāsht kareṅ. 3 Sulah-salāmatī ke bandhan meṅ rah kar Rūh kī yagāngat qāym rakhne kī pūrī koshish kareṅ.