Dhone kā Hauz
17 Rab ne Mūsā se kahā, 18 "Pītal kā ḍhāṅchā banānā jis par pītal kā hauz banā kar rakhnā hai. Yih hauz dhone ke lie hai. Use sahan meṅ mulāqāt ke ḳhaime aur jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ke darmiyān rakh kar pānī se bhar denā. 19 Hārūn aur us ke beṭe apne hāth-pāṅw dhone ke lie us kā pānī istemāl kareṅ. 20 Mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hone se pahle hī wuh apne āp ko dhoeṅ warnā wuh mar jāeṅge. Isī tarah jab bhī wuh ḳhaime ke bāhar kī qurbāngāh par jānwaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ 21 to lāzim hai ki pahle hāth-pāṅw dho leṅ, warnā wuh mar jāeṅge. Yih usūl Hārūn aur us kī aulād ke lie hameshā tak qāym rahe."