8 Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, "Rab se duā karo ki wuh mujh se aur merī qaum se meṅḍakoṅ ko dūr kare. Phir maiṅ tumhārī qaum ko jāne dūṅgā tāki wuh Rab ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ."
9 Mūsā ne jawāb diyā, "Wuh waqt muqarrar kareṅ jab maiṅ āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ke lie duā karūṅ. Phir jo meṅḍak āp ke pās aur āp ke gharoṅ meṅ haiṅ usī waqt ḳhatm ho jāeṅge. Meṅḍak sirf dariyā meṅ pāe jāeṅge."
10 Firaun ne kahā, "Ṭhīk hai, kal unheṅ ḳhatm karo." Mūsā ne kahā, "Jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. Is tarah āp ko mālūm hogā ki hamāre Ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai.