Yarūshalam ke Darwāze
30-34 Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.