8 Tab Abrām ne Lūt se bāt kī, "Aisā nahīṅ honā chāhie ki tere aur mere darmiyān jhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aur mere charwāhoṅ ke darmiyān. Ham to bhāī haiṅ. 9 Kyā zarūrat hai ki ham mil kar raheṅ jabki tū āsānī se is mulk kī kisī aur jagah rah saktā hai. Behtar hai ki tū mujh se alag ho kar kahīṅ aur rahe. Agar tū bāeṅ hāth jāe to maiṅ dāeṅ hāth jāūṅgā, aur agar tū dāeṅ hāth jāe to maiṅ bāeṅ hāth jāūṅgā."
10 Lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhā ki Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe meṅ Zuġhar tak pānī kī kasrat hai. Wuh Rab ke bāġh yā Mulk-e-Misr kī mānind thā, kyoṅki us waqt Rab ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh nahīṅ kiyā thā. 11 Chunāṅche Lūt ne Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe ko chun liyā aur mashriq kī taraf jā basā. Yoṅ donoṅ rishtedār ek dūsre se judā ho gae.