5 Rab ne dekhā ki insān nihāyat bigaṛ gayā hai, ki us ke tamām ḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māyl rahte haiṅ. 6 Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā. 7 Us ne kahā, "Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā."
Baṛe Sailāb ke lie Nūh kī Taiyāriyāṅ
8 Sirf Nūh par Rab kī nazar-e-karm thī. 9 Yih us kī zindagī kā bayān hai.
Nūh rāstbāz thā. Us zamāne ke logoṅ meṅ sirf wuhī bequsūr thā. Wuh Allāh ke sāth sāth chaltā thā.