5 Pahle maiṅ ne tere bāre meṅ sirf sunā thā, lekin ab merī apnī āṅkhoṅ ne tujhe dekhā hai.
Ayyūb Apne Dostoṅ kī Shafā’at Kartā Hai
7 Ayyūb se yih tamām bāteṅ kahne ke bād Rab Ilīfaz Temānī se hamkalām huā, "Maiṅ tujh se aur tere do dostoṅ se ġhusse hūṅ, kyoṅki go mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ durust bāteṅ kīṅ magar tum ne aisā nahīṅ kiyā.
10 Aur jab Ayyūb ne dostoṅ kī shafā’at kī to Rab ne use itnī barkat dī ki āḳhirkār use pahle kī nisbat dugnī daulat hāsil huī.