Zindagī kā Kalām
1 Ibtidā meṅ Kalām thā. Kalām Allāh ke sāth thā aur Kalām Allāh thā. 2 Yihī ibtidā meṅ Allāh ke sāth thā. 3 Sab kuchh Kalām ke wasīle se paidā huā. Maḳhlūqāt kī ek bhī chīz us ke baġhair paidā nahīṅ huī.
14 Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā.