14 Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā.
15 Yahyā us ke bāre meṅ gawāhī de kar pukār uṭhā, "Yih wuhī hai jis ke bāre meṅ maiṅ ne kahā, ‘Ek mere bād āne wālā hai jo mujh se baṛā hai, kyoṅki wuh mujh se pahle thā.’"
16 Us kī kasrat se ham sab ne fazl par fazl pāyā. 17 Kyoṅki sharīat Mūsā kī mārifat dī gaī, lekin Allāh kā fazl aur sachchāī Īsā Masīh ke wasīle se qāym huī.