30 Maiṅ aur Bāp ek haiṅ."
31 Yih sun kar Yahūdī dubārā patthar uṭhāne lage tāki Īsā ko sangsār kareṅ. 32 Us ne un se kahā, "Maiṅ ne tumheṅ Bāp kī taraf se kaī ilāhī nishān dikhāe haiṅ. Tum mujhe in meṅ se kis nishān kī wajah se sangsār kar rahe ho?"
33 Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, "Ham tum ko kisī achchhe kām kī wajah se sangsār nahīṅ kar rahe balki kufr bakne kī wajah se. Tum jo sirf insān ho Allāh hone kā dāwā karte ho."