Ayyūb Apne Dostoṅ kī Shafā’at Kartā Hai
7 Ayyūb se yih tamām bāteṅ kahne ke bād Rab Ilīfaz Temānī se hamkalām huā, "Maiṅ tujh se aur tere do dostoṅ se ġhusse hūṅ, kyoṅki go mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ durust bāteṅ kīṅ magar tum ne aisā nahīṅ kiyā. 8 Chunāṅche ab sāt jawān bail aur sāt menḍhe le kar mere bande Ayyūb ke pās jāo aur apnī ḳhātir bhasm hone wālī qurbānī pesh karo. Lāzim hai ki Ayyūb tumhārī shafā’at kare, warnā maiṅ tumheṅ tumhārī hamāqat kā pūrā ajr dūṅgā. Lekin us kī shafā’at par maiṅ tumheṅ muāf karūṅga, kyoṅki mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ wuh kuchh bayān kiyā jo sahīh hai jabki tum ne aisā nahīṅ kiyā."