39 Jo mujrim us ke sāth maslūb hue the un meṅ se ek ne kufr bakte hue kahā, "Kyā tū Masīh nahīṅ hai? To phir apne āp ko aur hameṅ bhī bachā le."
40 Lekin dūsre ne yih sun kar use ḍānṭā, "Kyā tū Allāh se bhī nahīṅ ḍartā? Jo sazā use dī gaī hai wuh tujhe bhī milī hai. 41 Hamārī sazā to wājibī hai, kyoṅki hameṅ apne kāmoṅ kā badlā mil rahā hai, lekin is ne koī burā kām nahīṅ kiyā." 42 Phir us ne Īsā se kahā, "Jab āp apnī bādshāhī meṅ āeṅ to mujhe yād kareṅ."
43 Īsā ne us se kahā, "Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki tū āj hī mere sāth firdaus meṅ hogā."