39 Kuchh āge jā kar wuh aundhe muṅh zamīn par gir kar yoṅ duā karne lagā, "Ai mere Bāp, agar mumkin ho to dukh kā yih pyālā mujh se haṭ jāe. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho."
42 Ek bār phir us ne jā kar duā kī, "Mere Bāp, agar yih pyālā mere pie baġhair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho."
44 Chunāṅche wuh unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yihī duā karne lagā. 46 Uṭho! Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai."