7 Wahāṅ pahuṅch kar mujhe patā chalā ki Iliyāsib ne kitnī burī harkat kī hai, ki us ne apne rishtedār Tūbiyāh ke lie Rab ke ghar ke sahan meṅ kamrā ḳhālī kar diyā hai. 8 Yih bāt mujhe nihāyat hī burī lagī, aur maiṅ ne Tūbiyāh kā sārā sāmān kamre se nikāl kar phaiṅk diyā.
10 Mujhe yih bhī mālūm huā ki Lāwī aur gulūkār Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat ko chhoṛ kar apne khetoṅ meṅ kām kar rahe haiṅ. Wajah yih thī ki unheṅ wuh hissā nahīṅ mil rahā thā jo un kā haq thā.
Sabat kī Bahālī
15 Us waqt maiṅ ne Yahūdāh meṅ kuchh logoṅ ko dekhā jo Sabat ke din angūr kā ras nichoṛ kar mai banā rahe the. Dūsre ġhallā lā kar mai, angūr, anjīr aur dīgar muḳhtalif qism kī paidāwār ke sāth gadhoṅ par lād rahe aur Yarūshalam pahuṅchā rahe the. Yih sab kuchh Sabat ke din ho rahā thā. Maiṅ ne unheṅ tambīh kī ki Sabat ke din ḳhurāk faroḳht na karnā.
Ġhairyahūdiyoṅ se Rishtā Bāndhnā Manā Hai
23 Us waqt mujhe yih bhī mālūm huā ki bahut-se Yahūdī mardoṅ kī shādī Ashdūd, Ammon aur Moāb kī auratoṅ se huī hai.
31 Nīz, maiṅ ne dhyān diyā ki fasal kī pahlī paidāwār aur qurbāniyoṅ ko jalāne kī lakaṛī waqt par Rab ke ghar meṅ pahuṅchāī jāe.
Ai mere Ḳhudā, mujhe yād karke mujh par mehrbānī kar!.