Dūsroṅ ke lie Girne kā Bāis na Bananā
13 Chunāṅche āeṅ, ham ek dūsre ko mujrim na ṭhahrāeṅ. Pūre azm ke sāth is kā ḳhayāl rakheṅ ki āp apne bhāī ke lie ṭhokar khāne yā gunāh meṅ girne kā bāis na baneṅ. 15 Agar āp apne bhāī ko apne kisī khāne ke bāis pareshān kar rahe haiṅ to āp muhabbat kī rūh meṅ zindagī nahīṅ guzār rahe. Apne bhāī ko apne khāne se halāk na kareṅ. Yād rakheṅ ki Masīh ne us ke lie apnī jān dī hai. 17 Kyoṅki Allāh kī bādshāhī khāne-pīne kī chīzoṅ par qāym nahīṅ hai balki rāstbāzī, sulah-salāmatī aur Rūhul-quds meṅ ḳhushī par.