9 Us ne pūchhā, "Kaun hai?" Rūt ne jawāb diyā, "Āp kī ḳhādimā Rūt. Merī ek guzārish hai. Chūṅki āp mere qarībī rishtedār haiṅ is lie āp kā haq hai ki merī zarūriyāt pūrī kareṅ. Mehrbānī karke apne libās kā dāman mujh par bichhā kar zāhir kareṅ ki mere sāth shādī kareṅge."
10 Boaz bolā, "Beṭī, Rab āp ko barkat de! Ab āp ne apne susrāl se wafādārī kā pahle kī nisbat zyādā izhār kiyā hai, kyoṅki āp jawān ādmiyoṅ ke pīchhe na lagīṅ, ḳhāh ġharīb hoṅ yā amīr.
17 Rūt bolī, "Jau ke yih dāne bhī us kī taraf se haiṅ. Wuh nahīṅ chāhtā thā ki maiṅ ḳhālī hāth āp ke pās wāpas āūṅ."