Izdiwājī Zindagī
1 Ab maiṅ āp ke sawālāt kā jawāb detā hūṅ. Beshak achchhā hai ki mard shādī na kare. 2 Lekin zinākārī se bachne kī ḳhātir har mard kī apnī bīwī aur har aurat kā apnā shauhar ho. 3 Shauhar apnī bīwī kā haq adā kare aur isī tarah bīwī apne shauhar kā. 4 Bīwī apne jism par iḳhtiyār nahīṅ rakhtī balki us kā shauhar. Isī tarah shauhar bhī apne jism par iḳhtiyār nahīṅ rakhtā balki us kī bīwī.