11 Ai Rab, azmat, qudrat, jalāl aur shān-o-shaukat tere hī haiṅ, kyoṅki jo kuchh bhī āsmān aur zamīn meṅ hai wuh terā hī hai. Ai Rab, saltanat tere hāth meṅ hai, aur tū tamām chīzoṅ par sarfarāz hai. 12 Daulat aur izzat tujh se miltī hai, aur tū sab par hukmrān hai. Tere hāth meṅ tāqat aur qudrat hai, aur har insān ko tū hī tāqatwar aur mazbūt banā saktā hai.
14 Merī aur merī qaum kī kyā haisiyat hai ki ham itnī faiyāzī se yih chīzeṅ de sake? Āḳhir hamārī tamām milkiyat terī taraf se hai. Jo kuchh bhī ham ne tujhe de diyā wuh hameṅ tere hāth se milā hai. 15 Apne bāpdādā kī tarah ham bhī tere nazdīk pardesī aur ġhairshahrī haiṅ. Duniyā meṅ hamārī zindagī sāye kī tarah ārizī hai, aur maut se bachne kī koī ummīd nahīṅ.