14 Un meṅ se Thuātīrā Shahr kī ek aurat thī jis kā nām Ludiyā thā. Us kā peshā qīmtī arġhawānī rang ke kapṛe kī tijārat thā aur wuh Allāh kī parastish karne wālī Ġhairyahūdī thī. Ḳhudāwand ne us ke dil ko khol diyā, aur us ne Paulus kī bātoṅ par tawajjuh dī. 15 Us ke aur us ke ghar wāloṅ ke baptismā lene ke bād us ne hameṅ apne ghar meṅ ṭhaharne kī dāwat dī. Us ne kahā, "Agar āp samajhte haiṅ ki maiṅ wāqaī Ḳhudāwand par īmān lāī hūṅ to mere ghar ā kar ṭhahreṅ." Yoṅ us ne hameṅ majbūr kiyā.
40 Chunāṅche Paulus aur Sīlās jel se nikal āe. Lekin pahle wuh Ludiyā ke ghar gae jahāṅ wuh bhāiyoṅ se mile aur un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh chale gae.