25 Aur ab maiṅ jāntā hūṅ ki āp sab jinheṅ maiṅ ne Allāh kī bādshāhī kā paiġhām sunā diyā hai mujhe is ke bād kabhī nahīṅ dekheṅge. 31 Is lie jāgte raheṅ! Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki maiṅ tīn sāl ke daurān din rāt har ek ko samjhāne se bāz na āyā. Mere āṅsuoṅ ko yād rakheṅ jo maiṅ ne āp ke lie bahāe haiṅ.
36 Yih sab kuchh kah kar Paulus ne ghuṭne ṭek kar un sab ke sāth duā kī. 37 Sab ḳhūb roe aur us ko gale lagā lagā kar bose die. 38 Unheṅ ḳhāskar Paulus kī is bāt se taklīf huī ki ‘Āp is ke bād mujhe kabhī nahīṅ dekheṅge.’ Phir wuh us ke sāth jahāz tak gae.