11 "Bādshāh ke tamām mulāzim balki sūboṅ ke tamām bāshinde jānte haiṅ ki jo bhī bulāe baġhair mahal ke andarūnī sahan meṅ bādshāh ke pās āe use sazā-e-maut dī jāegī, ḳhāh wuh mard ho yā aurat. Wuh sirf is sūrat meṅ bach jāegā ki bādshāh sone kā apnā asā us kī taraf baṛhāe. Bāt yih bhī hai ki bādshāh ko mujhe bulāe 30 din ho gae haiṅ."
14 Agar āp is waqt ḳhāmosh raheṅgī to Yahūdī kahīṅ aur se rihāī aur chhuṭkārā pā leṅge jabki āp aur āp ke bāp kā gharānā halāk ho jāeṅge. Kyā patā hai, shāyad āp isī lie malikā ban gaī haiṅ ki aise mauqe par Yahūdiyoṅ kī madad kareṅ."
16 "Ṭhīk hai, phir jāeṅ aur Sosan meṅ rahne wāle tamām Yahūdiyoṅ ko jamā kareṅ. Mere lie rozā rakh kar tīn din aur tīn rāt na kuchh khāeṅ, na pieṅ. Maiṅ bhī apnī naukarāniyoṅ ke sāth mil kar rozā rakhūṅgī. Is ke bād bādshāh ke pās jāūṅgī, go yih qānūn ke ḳhilāf hai. Agar marnā hai to mar hī jāūṅgī."