Mūsā Rab kā Jalāl Deḳhtā Hai
12 Mūsā ne Rab se kahā, "Dekh, tū mujh se kahtā āyā hai ki is qaum ko Kanān le chal. Lekin tū mere sāth kis ko bhejegā? Tū ne ab tak yih bāt mujhe nahīṅ batāī hālāṅki tū ne kahā hai, ‘Maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ, tujhe merā karm hāsil huā hai.’ 13 Agar mujhe wāqaī terā karm hāsil hai to mujhe apne rāste dikhā tāki maiṅ tujhe jān lūṅ aur terā karm mujhe hāsil hotā rahe. Is bāt kā ḳhayāl rakh ki yih qaum terī hī ummat hai."
14 Rab ne jawāb diyā, "Maiṅ ḳhud tere sāth chalūṅgā aur tujhe ārām dūṅgā." 15 Mūsā ne kahā, "Agar tū ḳhud sāth nahīṅ chalegā to phir hameṅ yahāṅ se rawānā na karnā. 16 Agar tū hamāre sāth na jāe to kis tarah patā chalegā ki mujhe aur terī qaum ko terā karm hāsil huā hai? Ham sirf isī wajah se duniyā kī dīgar qaumoṅ se alag aur mumtāz haiṅ."
17 Rab ne Mūsā se kahā, "Maiṅ terī yih darḳhāst bhī pūrī karūṅga, kyoṅki tujhe merā karm hāsil huā hai aur maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ."